Sunday, March 13, 2011

Mohsin Naqvi Ghazal

Dasht-e-dariya kay yeh uss paar kahan tak jaati,
Ghar ki deewar thi, deewar kahaan ta jati,
Mitt gaee hasrat-e-deedar bhi rafta rafta,
Hijr main hasrat-e-deedar kahaan tak jati,
Thak gaye hoont tera naam bhi laitay laitay,
Aik hi lafz ki takraar kahaan tak jaati,
Tau bohot door bohot door geya tha mujh say,
Meri awaaz meray yaar kahaan tak jaati,
Har taraf husn kay bazaar lagay thay MOHSIN,
Meri chashm-e-kharidaar kahaan tak jaati!

No comments:

Post a Comment